Oct 1, 2009

Tareeq Ka Jab Bhi Ruq Badla

TwitThis

Tareeq ka jab bhi ruq badla, Badla hai hamee Deewanon ne
Islam ki shamma roushan ki, jal jal ke hamee parwanon ne

Maqtal bhi hamara gehwara Zindaan bhi hamara maskan hai
Hum raahe wafa mein sar rakhdein ye saare jahaan par roushan hai

Hum khel samajh kar ladte hain toofan ki bhayanak moujon se
Kya Ahle haram dab jaaenge un ahle Jafa ki moujon se

Maazi mein jo toofan europe se mandlaata huwa aayaa thaa
Hum hee ne usay lalkaara thaa Hum hee ne usay de maaraa thaa

Hum Amn-o-Amaan ke qoogar hain Insaaf hamari aadat hai
Haq goi hamari fitrat hai sachchai hamara shewa hai

Har gosha chaman ka shahid hai jab jaan si museebat pesh aai
Shamsheer bakaf hum jaa pohnche jab jaan ki zaroorat pesh aai

Soncha hai Anas ab kuch bhi ho har haal mein apna haq lenge
Izzat se jiye to jeelenge ya jaam-e-shahadat peelenge 

Share This
Digg Delicious StumbleUpon squidoo live netscape tailrank spurl
Follow Me:
The Ubuntu Counter Project - user number # 28605

Search This Blog