Aug 10, 2007

Bahut Khoobsoorat Ho Tum - Ghazal

TwitThis

"
Bahut Khoobsoorat Ho Tum
Bahut Khoobsoorat Ho Tum
Agar Main Jo Kehdoon Mohobbat Hai Tumse
Tho Mujhko Khudaara Galat Mat Samajhna
Ke Meri Zaroorat Ho Tum
Bahut Koobsoorat Ho Tum
"
Ye Chehra Tumhaara Ke Din Hai Sunehra
Aur Uspar Ye Kaali Ghataaon Ka Pehra
Gulaabon Sa Naazuk Mehekta Badan Hai
Ye Lab Hain Tumhaare Ke Khilta Chaman Hai

Bikheron Na Zulfen, Tho Sharmaayen Baadal
Farishtey Bhi Dekhen Tho Hojaayen Paagal
Wo Pakeeza Moorath Ho Tum
Bahut Khoobsoorat Ho Tum
"
Hain Phoolon Ki Daali Ye Baahen Tumhaari
Hai Khaamosh Jaadu Nigaahen Tumhaari
Jo kaanten Hon Sab Apni Daaman Mein Bhar Loon
Bichaawoon Main Kaliyon Se Raahen Tumhaari

Nazar Se Zamaane Ki Khudko Bachaana
Kisi Aur Se Dekho Dil Na Lagaana
Ke Meri Amaanath Ho Tum
Bahut Khoobsurat Ho Tum
"
Jo Banke Kali Muskuraati Hai Aksar
Shab-e-Hijr Mein Wo Rulaati Hai Aksar
Jo Lamhon Hi Lamhon Mein Duniya Badalde
Jo Shaayar Ko Milti Hai Pehloo Ghazal Se

Chupaana Jo Paawoon Chupaa Hi Na Paawoon
Bhulaana Jo Paawoon Bhulaa Hi Na Paawoon
Wo Pehli Mohabbat Ho Tum
Bahut Khoobsurat Ho Tum
"
Agar Main Jo Kehdoon Mohobbat Hai Tumse
Tho Mujhko Kudaara Galat Mat Samajhna
Ke Meri Zaroorat Ho Tum
Bahut Koobsoorat Ho Tum


Share This
Digg Delicious StumbleUpon squidoo live netscape tailrank spurl
Follow Me:
The Ubuntu Counter Project - user number # 28605

11 comments:

  1. Amazing mind blowing
    no words to say how much amazing it is
    ADEEl

    ReplyDelete
  2. Hey thanx man... I didnt see ur comment.... It is really amazimg...

    ReplyDelete
  3. dont u have the video of this nazm?

    ReplyDelete
  4. This is very romantic and my favourate Ghazal since long but here it is written most wrongly and incorrect. This should be EDIT.
    Mohammad Adeel Abdullah
    adeelabdullah2000@gmail.com

    ReplyDelete
  5. Bahut Khoobsoorat Ho Tum
    Bahut Khoobsoorat Ho Tum
    Kabhi Main Jo Kehdoon Mohobbat Hai Tumse
    Tho Mujhko Khudaara Ghalat Mat Samajhna
    Ke Meri Zaroorat Ho Tum
    Bahut Koobsoorat Ho Tum

    Hain Phoolon Ki Daali Ye Baahen Tumhaari
    Hain Khaamosh Jaadu Nigaahen Tumhaari
    Jo kaanten Hon Sab Apne Daaman Me Bhar Loon
    Sajauoon Main Kaliyon Se Raahen Tumhaari

    Nazar Se Zamaane Ki Khudko Bachaana
    Kisi Aur Se Dekho Dil Na Lagaana
    Ke Meri Amaanat Ho Tum
    Bahut Khoobsurat Ho Tum

    Hai Chehra Tumhaara Ke Din Hai Sunehra
    Aur Uspar Ye Kaali Ghataaon Ka Pehra
    Gulaabon Sa Naazuk Mahekta Badan Hai
    Ye Lab Hain Tumhaare Ke Khilta Chaman Hai

    Bikhero Jo Zulfen, To Sharmaaye Baadal
    Ye Zaahid Bhi Dekhe To Hojaaye Paagal
    Wo Pakeeza Moorat Ho Tum
    Bahut Khoobsoorat Ho Tum

    Jo Banke Kali Muskuraati Hai Aksar
    Shab-e-Hijr Mein Jo Rulaati Hai Aksar
    Jo Lamhon Hi Lamhon Mein Duniya Badalde
    Jo Shaayar Ko De Jaye Pehloo Ghazal Ke

    Chupaana Jo Chaahe Chupaayi Na Jaaye
    Bhulaana Jo Chaahe Bhulaayi Na Jaaye
    Wo Pehli Mohabbat Ho Tum
    Bahut Khoobsurat Ho Tum

    Kabhi Main Jo Kehdoon Mohobbat Hai Tumse
    To Mujhko Khudaara Ghalat Mat Samajhna
    Ke Meri Zaroorat Ho Tum
    Bahut Koobsoorat Ho Tum

    MOHAMMAD ADEEL ABDULLAH
    adeelabdullah2000@gmail.com

    ReplyDelete
    Replies
    1. JAZAAK ALLAAH BRO... MENE 8 SAAL PEHLE KUCH LINES SUNI THI JABSE ME ISKA FAN HU AUR AB JAA KE MILI CORRECTLY AAPKE THROUGH...

      Delete
  6. @Adeel
    Do you have any source from which you are telling this is incorrect???
    Whatever I have written is correct and no doubt about it...

    ReplyDelete
  7. yah m having original voice of poet thats why m telling this

    ReplyDelete
    Replies
    1. Even I am having the original voice of the poet.. Looks like the same poet has sung his Ghazal differently in different places... A poet can change his poetry according to his wish.. So we cannot say this is wrong that is correct... For me it looks both are correct... Coz I have heard it with my own ears...

      Delete
  8. ITNI BHI KOI GHALTIYAN NAHI THEIN WESAY...LAKIN PHIR BHI, POETRY KA WAZUN KHARAB NAHI HONA CHAHIYEH...THANKS TO BOTH THE BROS! :)) TAKE CARE!

    ReplyDelete
  9. i like it thinks for this...............

    ReplyDelete

Search This Blog